Saturday, October 13, 2012

Tumharaa Mann Dekhkar Part-9

   Der raat tak Aru Amu se baat karti rahi.Itne saalo mein kya kya hua sab bataya usne Amu ko.
"Siddhant se tumne shadi kyu ki Aru?"
"wah chahta tha isliye...aur fir main kab tak kunwari rahti?"
"Tumhe yaad hai Aru maine ek baar tumse kaha tha ki mujhe ascharya hota hai ki kaise tumko Siddhant se pyar nahi hua?"
"haan,yaad hai"
"aur tab tumne kaha tha ki wah sirf tumhara dost hai..per dekho pyar to tab bhi tha tum dono me,aur ab bhi hai...tabhi to aaj tum dono sath hi"Amu muskurayi per aankho mein aansu jhilmila uthey.
"Amu kya tum aaj bhi...?? tum ab married ho,tumhe ab kisi aur ke baare mein nahi sochna chahiye..."yah sochkar ki Amu aj bhi Siddhant ko chahti hai,Aru kuch anmani si ho gayi.
"mera divorce ho gaya hai"
"kya? kab? ye kaise ho gaya Amu?"Aru chaunk gayi.
"videsh mein basa ladka babuji ko bahut pasand aaya tha.Main Siddhant ke liye roti rah gayi aur unhone meri chat mangni pat byaah kara diya.Apni ore se to unhone meri bhalai hi sochi thi,per unhe kya pata tha Aru ki apni iklauti beti ko wo jis Rohit Trivedi ki ardhangini bana America bhej rahe hain,wah wahan uski naukrani ki haisiyat se ja rahi hai.Rohit ki firangan patni Ruth wahan pahle se hi maujood thi"
"wah pahle se married the,fir tumse kyu shadi ki unhone?"
"Ruth ki sewa karane ke liye! wah pregnant thi aur tum to janti hi ho,foreign mein yahan ki tarah sewa-tahal ke liye aaya nahi milti.yahi mukhya karan tha iss shadi ka.Dusra karan ye tha ki mere saas sasur bharatiye bahu hi chahte the"
"apne swarth ke liye unhone tumhari zindagi barbad kar di?/ye to bahut galat baat hai! tum kaise rahti thi waha?"
"Jaate hi mujhe pata chal gaya ki Rohit ne Ruth se vaada kiya tha ki iss baar wo India se uske liye maid le ke ayega.aur usi maid ke roop me usne mera parichay Ruth se karwaya.Main ye dekh ke hairan thi.Jab wastwikta se rubaroo hui to mann me pahla khayal yahi aaya ki agar aaj main Siddhant ki wife hoti to aisa hargiz nahi hota! Florida ja kar to main fans gayi thi Aru.Kya karti? Ruth ki sewa,ghar ka sara kaam,safaai,sab karti thi main.Waise to Ruth achche swabhaw ki thi per kabhi kabhi maalkin hone ka ahsaas kara hi deti thi.Main waha un logo se alag thalag si rahti thi,basement me sona padta tha mujhe.Rohit ne mujhe kabhi apni patni ki drishti se dekha hi nahi.Jab Ruth ne bachchi ko janam diya tab mera kaam aur badh gaya.Raat ko thak-haarkar jab sone jaati thi to neend kam,apni kismat per rona jyada aata tha.Mere dukh ko samajhne wala uss ajnabi desh me koi nahi tha,jiska haath tham main pardes aayi thi wo bhi to mera nahi tha.Ek raat baby ko sulakar jab main aone basement me sone aayi to kisi aur ke hone ka aabhaas hua.Light on kiya to dekha Rohit mere bed pe baitha drink kar raha hai.Mujhe dekhkar kaha-'darwaza band karo'...mujhe dahshat si ho gayi,main chupchap khadi rahi to usne fir apni baat dohrayi.Kaanpte haatho maine darwaza lock kiya.wah bed se uthkar mere paas aya aur jabardasti karne laga.Maine virodh kiya to bola agar maine inkaar kiya to abhi usi waqt mujhe ghar se nikal dega.Main darr gayi,kyunki main waha kisi ko nahi janti thi..main utni raat me kaha jati?Mujhe idea nahi tha ki main kis se madad mangu?chup rahne ke alawa mere paas aur koi rasta nahi tha aur pati hone ke bawjood usne meri izzat ko taar taar kar diya.Aisa kayi dino tak chalta raha..Ruth office chali jati thi aur Rohit jab na tab apne mann ki karta tha.Bachche ki wajah se 3-4 mahino se uske sambandh Ruth se nahi the,shayad isiliye tab tak mujhe use kiya usne jab tak Ruth fir se uske sath sone ke liye taiyar na ho gayi.Per tab tak main khud pregnant ho gayi.Maine bachche ko janam dene ka nirnay liya,bhale hi uske baap se mujhe nafrat thi.Ye baat maine Rohit ya Ruth ko nahi batayi,Unhe pata tab chala jab mera pet pata chalne layak nkal gaya tha.Rohit mujhe abortion ke liye le gaya per 6 mahine ho chuke the isliye doctor ne inkaar kar diya."
"Rohit ne bachche ko sweekara to hoga na?"
"nahi,ulta usne Ruth se kah diya tha ki na jaane main kiska bachcha pet me liye ghoom rahi hu"
"Tumne Ruth se kaha kyu nahi ki bachcha Rohit ka hai?"
"Ruth puchti bahut thi per main kuch na kah payi kyunki Rohit mujhe ghar se nikal deta"
"Mamaji se phone kar k kyu nahi kaha ye sab?"
"Rohit phone lock rakhta tha,agar babuji ka phone kabhi aata to wo paas khade hokar unse meri baat karwata tha aur mujhe kahna hota tha ki main thik hu aur khush hu"
"to tumne bachche ko janam kahan diya? wahi?"
"haan!Ruth mujhper apne kaam ke liye dependent thi aur uski baby bhi mujhse ghuli hui thi isliye Ruth mujhe hatana nahi chahti thi...Din aise hi guzar rahe the.Rohit aur Ruth kaam per chale jaate the aur main ghar per akeli din bhar dono bachcho ko dekhti thi"
"Fir tum yahan wapas kaise aa gayi?"
"last year Baby Ann ko ruth ne boarding school me daal diya..ab mere liye waha koi khaas kaam nahi tha isliye usi ne mujhe india bhejne ka arrangement kar diya,tickets bhi arrange kar diye.Mera mann khush ho gaya.Waha saat saalo se thi per fir bhi apne desh wapas jaungi ye khayal mujhe excite kar raha tha.Per yahan aane se pahle ek kaam aur karna tha mujhe aur wo maine kiya,Ruth ko sab kuch bata diya"
"tumne bata diya?usne kya kaha?naraaz hui hoga?"
"nahi,wo udas hui aur boli wo sab janti hai"
"janti thi to kuch kaha kyu nahi pahle?"
"wah Rohit se pyar karti thi isliye anjaan bani rahi.Pyar manushya se kya kya nahi karwata hai!Ruth ko meri halat per afsos tha,uska kahna tha ki jab tak usse ye pata chala tab tak Lav ka janam ho chuka tha...per ab wah mujhe iss nark se aazadi de rahi hai...isiliye mujhe India bhej rahi hai taaki main apni baaki zindagi sukh se jee saku.Bas main aa gayi aur kuch dino me divorce bhi mil gaya"
"Abhi kaha rahti ho?Mamaji ke paas hi??"
"haan,babuji ke paas hi hu,aur kahan jaungi,ek boutique khol liya hai...zindagi chal rahi hai"
"aur tumhara beta Lav?wo kahan hai? usse nahi layi tum yahan/"
"usse padhne ke kiye Dilli ke ek boarding school me rakh diya hai.Janti ho Aru,Babuji aaj bhi dukhi rahte hain ki unki wajah se meri life kharab hui per mujhe lagta hai unki koi galati nahi,,,,kismat me jo likha hota hai wahi hota hai.."Amu ne apni aankhe pochhi aur karwat le ke sone ka upkram karne lagi.
        Per Aru ko raat bhar neend nahi ayi.Wah Amu ke baare mein sochkar pareshan thi.Aajtak use yahi lagta tha ki wahi sabse jyada dukhi hai,bhagwan ne uske sath hi anyay kiya hai per Amu ke sath jo kuch bhi hua uske aage uska apna dukh,apna ghum kuch hai ki nahi! Mann me kuch dukh,kuch asantosh awashya tha per wah comparatively sukhad jindagi hi ji rahi thi.Per itni sundar susheel Amu ke sath yah anyay kyu hua?Fir usne ek thos nirnay liya.

"Tumne Amrita ko apne ghar rakha hai?Tum pagal ho gayi ho?"
"wah meri cousin hai,mujhse milne aayi hai to main usse kahan bhaga deti?"
"per ab tum married ho,apne husband ke ex-flame ko tumne kaise apne ghar mein....Siddhant ko pata chalega to??"Aashu ne pucha.
"to kya?maine decide kar liya hai Aashu,main Siddhant ko Amu ke baare me bataungi aur agar wah chahega to main usse divorce de dungi taki wo Amu se shadi kar le.."
"you know what sis? u are totally main!! tum kyon apne pair per khud ki kulhaadi maar rahi ho?"
"Amu ne ab tak bahut kuch saha hai Aashu! Aur fir Siddhant bhi to uss se kitna pyaar karta tha.Main to hamesha uski khushi chahti hu."
"tum bahut badi galati karne ja rahi ho! iss baar bina mange advise de raha hu,isse manogi to tumhara ahsaanmand rahunga main"Aashu seriously bola.
"kya?"
"tum apne ko Siddhant ki dost nahi,uski patni ke room me imagine kar ke dekho,kya tum uska kisi aur ke sath affair bardasht kar sakti ho tum?"
"nahi"
"Iska matlab ye hai ki kahi na kahi tum uss se pyar karti ho...bas uss pyar ka ahsaas tumko nahi ho raha hai...Shayad is liye ki Siddhant kabhi tumse door nahi jata hai,tumko ignore nahi karta hai..hamesha contact me rahta hai,...hamesha jhuka rahta hai tumhare aage...per iska matlab ye nahi hai ki tum usse aur jyada jhukao"
"to kya karoon? main usse khush dekhna chahti hu"

"tum usse ye sab nahi bataogi.Amrita ka naam bhi uske aage mat lena..per agar wo kabhi khud puche to jhooth bhi nahi bolna...aur bhool kar bhi Amrita se uski shadi ki baat na karna"
"iss se kya hoga?"
"iss se jo bhi hoga wah tumhare liye achcha hi hoga,that i assure u!"

Amu uske ghar kuch dino ke liye ruk gayi thi,wahi koi workshop tha usme jane ke liye hi wo patna aayi thi.Siddhant har raat Aru ko phone karta per Aashu ki baat dhyan me rakhte huye Amu ka zikra usne kabhi nahi kiya.



END OF PART-9
 

No comments: