Monday, October 15, 2012

Tumharaa Mann Dekhkar Part-12


Siddhant ne kayi jagah nayi naukri ke liye aawedan kiya,kuch jagah interview bhi diya per naukri nahi mil payi.Fir ek din Aru ne ek swasth bachche ko janam diya.Sab bahut khush the.Siddhant ki Mummy ne bachche ka naam Amaan rakha.Bachche ke janam ke 10 din baad hi Siddhant ko job mil gayi aur fir turant hi usko company ke kaam se Japan bhej diya.

Siddhant ke jaane ke baad kuch dino tak to Aru ko mahsoos nahi hua,per fir usse Siddhant ki yaad aane lagi.Wah usse call bhi nahi karta tha.Har roz apna orkut per scrapbook kholti thi per saptaah me 2 se jyaada scrap Siddhant ke nahi aate the.Apna haal chaal likhta tha,sabke baare me puchta tha,iss se jyada kuch nahi.

Teen mahine baad Aru fir se apne purane kaam per jaane lagi.Din bhar ki vyastata ke baad raat ko sone jaati to Siddhant ke sath bitaye pal yaad aate.Uska jataya pyar...uska sab kuch yaad aata.

"dekha,maine kaha tha na ki jab wah tumse door hoga,tab tumhe apne pyar ka ahsaas hoga"Aashu hans ke bola.

"tumhe lagta hai ki main pyar me hu?"

"aur nahi to kya?pyar me hone se waisa hi mahsoos hota hai jaisa tumhe ho raha hai..uski yaad aati hai...wah bechaini...wah tadap...it feels so good being in love"

"tumhe kaise pata chala bhai?"

"I am in Love...isliye pata chala"wah hans ke bola.

"Achcha..thats great! kaun hai wo special ladki?"

"mere best frend Abhishek ki sister hai,doctor hai,we r getting married"

"love marriage?"

"nahi,....ghar se arrange ho gaya hai.Actually abhishek chahta tha ki ye dosti rishtedari me badal jaye..."

"chalo achcha hai! mile ho na uss se?"

"aray buddhu,bina mile pyar hoga kya? wah yahi hai..hum aksar milte hain"

"shadi kab hogi?"

"agle saal,may be Feb mein"

"congrats brother"

"well,iss sukha sukhi badhai se kaam nahi chalega..tumhe aana padega"

"dekhti hu...I will try"

Siddhant ko January me aana tha per achanak uska ye pravas 6 mahine ke liye badh gaya.Wah Siddhant se milne ke liye apni bechaini saaf mahsoos kar rahi thi.Usne kabhi socha nahi tha ki jeevani ki koi chhoti si ghatna,jeevan ko badalne ka samarthya rakhti hai.Uss din achanak se hi to aa gaya tha Siddhant ka phone...aur usne usse milne ghar bula liya.Yah bhi ek sanyog hi tha ki Nikki chuttti me ghar gayi thi....aur fir jo hua,shayad usi ki wajah se Siddhant uski jindagi me aa gaya tha.Siddhant ke sath Aru ki shadi mein,aur Aru ke mann me uske liye prem jagane mein Aashu ka haath tha.Iske liye to wah hamesha Aashu ki aabhaari rahegi.

Aashu ki shadi Feb me ho gayi aur wah nahi ja payi.Ek mauka mila tha Aashu se milne ka per uska bhi fayda wo nahi utha payi.Badalte mausam mein bachche ki tabiyat thik nahi thi aur Siddhant bhi wapas nahi aaya tha.Aashu ab apni zindagi me vyast tha..aur Aru Siddhant ke intzar mein..

Zindagi me itna jyada sunapan,itna khalipan Aru ne kabhi mahsoos nahi kiya tha.Tab bhi nahi jab wo bilkul akeli thi.Ab to ghar per Mummy thi,Nikki thi,uska beta Amaan tha,kabhi kabhi Kavita aur Karan bhi aate the.Aru din bhar class me,bachche me busy rahti thi fir bhi usse bahut akelapan mahsoos hota thaa.Apni saari sharmo-haya tyag kar Siddhant ko scrap karti thi-'kab aaoge?"

per jab uska jawab aata tha'kyo puch rahi ho?' toh wah wapas scrap kar deti thi ki'Mummy tumhe yaad kar rahi hai' ya fir'Nikki puch rahi hai'

May ka mahina shuru ho gaya tha,Nikki ki last year k exams khatam ho gaye.Maa ke phone aane shuru ho gaye ki wah ghar aa jaye per Nikki ne koi pakka plan nahi banaya tha.

"Nimmi ki shadi ke baad tum ek baar hi ghar gayi hai isliye maa tumhe miss kar rahi hain"

"per baabu ko chhod ke jane ka mann nahi kar raha hai..."Nikki ne pyar se Amaan ke gaal choom liya.

"To tum bhi shadi kar lo Nikki,aisa hi beta godi me aa jayega"Mummy hans ke boli.

"pahle padhai,fir naukri,fir shaadi..wah bhi ahar apke jaisi saas milegi to.."Nikki boli.Tabhi door bell baji.

"main dekhti hu"Nikki darwaze ki ore badhi,"jeeja ji aap?"wah darwaza kholte hi khushi se cheekhi.Jhukhar Siddhant ka charan sparsh kiya.

"khush raho"wah muskuraya.

Aru Siddhant ko dekhte hi couch se uth khadi hui.jee kar raha tha ki uske paas ja ke use bahon me bhar le,per Mummy aur Nikki ka lihaj kar apni ichchha ko daba diya.Siddhant Mummy se mil ke sofe per baith gaya.Aru ki taraf dekha bhi nahi,yah baat usse buri lag gayi.

Chai peekar wah snan karne chala gaya aur nashta kar ke so gaya.Aru se sirf zarurat bhar hi baat hui.Aru ko ab bechaini si ho gayi.Ek-do din nahi,poore 10 mahine baad mil rahe the wo per Siddhant usse bilkul bhaw nahi de raha tha.Pahle to jab bhi wah ghar aata tha,Aru ko apne paas bulane ke liya,usko chhoone ke liye aatur rahta tha.Per iss baar wah bilkul kata kata sa tha.Kahi aisa to nahi ki wah kisi Japani Ladki se dil laga aaya ho? Aadmi ka kya bharosa?Wah waha itne dino se akela tha....stri ki kami to khalti hi hogi.Aru khana banate waqt inhi khayalo k bhanwar me khoyi thi.

"Di kya kar rahi ho? Sabji chalao nahi to jal jayegi"Nikki ne toka to wo wapas apne kitchen me aa gayi.

Siddhant so ke utha to bhi usne Aru ko apne paas nahi bulaya.Amaan ko god me le ke khelta raha,Mummy aur Nikki se baat karta raha,,sabko gifts diye,Ghar me tyohaar sa mahol tha..Aur Aru bas apni soch me hi bhatakti rahi ki Siddhant kyun badal gaya hai?

Raat me Amaan ko Mummy ne apne paas sula liya.Aru apne bedroom me ayi to dekha ki Siddhant bed per adhleta koi patrika padh raha hai.Wah uss se bina kuch bole apni nighty le ke bathroom me chali gayi.Naha ke wapas aayi to bhi usse padhta hua hi paya.

"kya baat hai?kuch hua hai kya?"aakhirkaar usne Siddhant se pucha.

"Nahi to! kuch bhi nahi hua hai"wah patrika se bina sir uthaye bola.

"to fir tum itne chup chup se kyu ho?jab se aaye ho,mujhe normally baat kyu nahi kar rahe ho?"

"I love u"Ab usne Aru ki ore dekha.

"maine ye sunne ke liye nahi kaha..main janna chahti hu ki.."

"I love u"usne Aru ki baat beech me hi kaat di.

"baar baar ek hi baat.."

"I love u"wah fir beech me hi bola.

"ok fine"Aru ne kanghi ko dressing table per rakha,"I love u too.."

"as a frend or as your husband?"usne prashn kiya,Aru muskurayi.

Uske paas aa ke bed pe baith gayi,jhuk kar uske honth choom liye

"I love u Siddhant,as my frend,as my husband and as my everything"dheere se uske kaan me whisper kiya.Siddhant ne muskurakar usse apne baaho me le liya aur paaglo ki tarah usse choomne laga.Tabhi bachche ke rone ki aawaaz aayi aur Aru jhatke se uth khadi hui.

"kya hua?"Siddhant ne hairat se pucha.

"tumhara khalnayak beta ro raha hai'kahkar wo tezi se room se bahar nikal gayi per turant wapas bhi aa gayi.

"itni jaldi aa gayi?'

"haan,tumhare khalnayak bete ko meri achchi Mummy ne chup kara ke wapas sula diya hai"

"ye baar baar mere bete ko khalnayak kyu kah rahi ho?"

"Tum bhi Aashu ko khalnayak kahte the,jab wo aise mauko per disturb karta tha"

"wah kya tumhara koi bloodline ka relative hai jo tum itna chidh rahi ho?"

"wah mera frend hai..."

"pata nahi kaise wo tumhari baato ko jhelta hai!!"

"kyonki he is a very nice guy"

"mujhse bhi jyada...??"

"nahi!"wah uske paas aa gayi,"tumse jyada achcha to koi bhi nahi hai meri duniya mein.."usne is bahas ko viraam diya.Aur Siddhant ne usse usi pyar bhari nazro se dekha jinke liye Aru itne mahino se tarah gayi thi.

Sone se pahle dono me baat ho rahi thi.

"tum meri Mummy ke samne yahi low neck aur knee length ki nighty aur baaki kapde pahanti ho?"

"haan"

"kyon?Saas ke samne sharm nahi aati?"

"wah meri bhi to Mummy hain"

"kal se tum saaree pahnogi....maathe per aanchal rakhogi"

"bilkul nahi"

"kaisi patni ho tum Arunima Singh?Pati ki aagya ka paalan karna to door,saaf jawab de rahi ho ki nahi karogi"

"achcha theek hai pahan lungi....ek baat bataoge"wah bed per uth ke baith gayi

"puchho na"

"sach batana"

"pucho to"

"ek adarsh bharatiye ladki waale koi bhi gunn mujhme nahi the,main tumhare layak,tumhare jitni sundar bhi nahi hu,fir kya sochkar,kya dekhkar tumne mujhe shaadi ke liye propose kiya?"

"kuch khaas nahi....sirf tumharaa mann dekhkar.."wah muskuraya aur Aru ko apne kareeb kheench liya,Aru ne bedswitch se batti bujha di!!

THE END

 

No comments: