Aankhe khuli achanak mobile ki ring sunkar.Call receive kiya to dusri ore Siddhant ko paya.
"Ab tumne call kyu kiya hai Siddhant? Maine kaha tha na ki tum mujhe bhool jana"
"dekho Arunima,naraz mat hona tum...meri baat sunn lo plz"usne anurodh kiya.
"bolo"
"jab maine shadi ke liye kaha toh tumne 3 wajah ginayi,jinki wajah se tumhe ye shadi manjoor nahi"
"haan,toh?"
"toh maine bahut socha,bahut aatm manthan kiya aur paya ki haan main Amrita se pyar karta tha,per inn 7 varsho mein maine usse dekha tak nahi hai.Kitne dino se to aisa ho raha tha ki main amrita ka chehra yaad karne ki koshish karta tha to mujhe tumhara chehra nazar aata tha.Amrita ka sath mere jiwan me 3 varsho ka tha,per tumko toh maine duso saal se janta hu.Uske jaane ke baad jab bhi tumse meri baat hoti thi,main mann me sochta tha ki Kash! wo bhi mere baare mein aisa hi sochti,meri itni hi care karti.Main nahi janta ki mera pyar aaj Amrita ke liye cum ya khatam hua hai ya nahi,Main ye bhi nahi janta Arunima ki main tumse pyar karta hu ya nahi,per main tumse ek lagaw sa mahsoos karta hu aur main janta hu main tumhare sath khush rahunga"
"per main..."
"pahle meri poori baat sunn lo Arunima! rahi tumhari baat ki tum mujhse pyar nahi karti,toh main ye janta hoon,lekin mera vishwas hai ki jab hum sath rahenge to humare beech prem ho jayega,agar tumhare mummy papa tumhari shadi karte to uss anjan vyakti se tumhe ek din pyar ho hi jata.."
"per intercaste..."
"zamana badal raha hai Arunima.Intercaste marriage ab pahle ki tarah nahi raha ki parents nahi manenge ya fir bahno ki shadi nahi hogi.Waise bhi Nimmi ki sagai ho chuki hai aur Nikki ko abhi padhna hai.Main promise karta hoon ki main Nikki ki life settle karne me tumhari help karunga"
"mujhe samajh me nahi aa raha hai ki main kya kahoon?"
"apna faisla jaldi batana kyuki Kavita ki shadi aur papa ke heart problem ki wajah se humein court marriage karni hogi,main baad me mauka dekh ke ghar pe bata dunga"
"Main soch kar tumhe bataungi"
"Thik hai,socho! per itna yaad rakhna Arunima ki tumhare har faisle ka main samman karunga aur tumhe shadi ke baad har tarah se sukhi aur secure rakhne ka vada main karta hoon..mujhe bas tumhara sath,tumhara support chahiye"
Fir se ek bar uljhan me thi Aru. Dimag kahta tha Siddhant ke sath vivah karne mein koi burai nahi hai.Kyunki aaj jo kuch bhi hua uske baad wah kabhi kisi dusre se uss tarah ka sambandh nahi rakh payegi,Siddhant uske jeevan ke khalipan ko bhar dega.Per dil kahta tha ki pyar aur dosti ko aapas mein nahi milana chahiye.Iss shadi ke baad log yahi kahenge ki ek ladka aur ek ladki kabhi sadharan dost nahi ho sakte,kabhi na kabhi unko aapas me pyar ho hi jata hai.Jab bahut sochne ke baad Aru kisi nirnay per nahi pahuch saki tab usne Aashu ka khayal aaya.
Raat me Aashu ko call kiya.
"kya baat hai,ek hi din me 2-2 baar yaad kiya mujhe aapne?"udhar se Aashu ki hasi sunai di.
"ek salah leni thi tumse"wah kuch hichakte huye boli
"tabhi main kahu ki kaise tumne mujhe call kiya..bolo na kya baat hai?"
"mere liye ek rishta aya hai"wah dheere se boli.
"haan kar do..waise ladka kya karta hai?"
"uski job hai,ek mnc mein"
"haan kar do,dekhne mein kaisa hai?"
"handsome hai.."
"haan kar do,family kaisi hai uski?"
"sab kuch behatareen hai"
"toh fir haan kar do,mujhse ijajat lene ki kya zarurat hai?" wah hansa
"ijajat kaun le raha hai?" wah chidh gayi,"aur ye hasna band karo.I am serious,ek problem hai"
"kya?"
"wah brahman nahi hai"
"intercaste se darr rahi ho?"
"haan"
"agar tumhe lagta hai ki wo tumhe khush rakhega,kabhi dhokha nahi dega,tumhari zindagi mein indradhanushi rang bhar dega to meri salaah yahi hai ki tum uss se shadi kar hi lo"
"per meri family?....aur fir log kya kahenge?"
"logo ki baat to tum rahne hi do sis,samaj hamare dukh ko enjoy karta hai,humein khushi dene ki koshish nahi karta.Humara sukh dekhkar samaj jalega,ho sakta hai kabhi kuch sunne ko bhi mil jaye,per fir kitne din? Jab ek din samaj dekhega ki uski baato ka tum per koi asar nahi ho raha hai to wah bolna chhod dega,aur rahi baat tumhari family ki,toh yaha bhi wahi baat hai..bol kar ya tumpe naraz ho ke wo tumhara kya bigaad lenge? Tumhari itni hi chinta thi toh tumse chhoti Nimmi ki shadi kaise fix kiya unhone tumse pahle? Sunne me tumko bura lag sakta hai per sachchai yahi hai ki tumhar parivar ko tumhari koi parwah hai hi nahi..Maa sauteli hain tumhari,wah to durvyawahar karengi hi,per papa tumhare? Wah to apne hain na? fir kyu tumhe chhod diya? Tumhari shadi ke bare me kyu nahi socha unhone? Khair! wah nahi sochte to na sahi,but as your frend and as your brother main sochta hu tumhare bare mein,,isliye main yahi suggest karunga ki tum apne bare me socho.Yah tumhara adhikar hai,apni zindagi sawarne ka tumhe bhi to haq hai!!"
"shayad tum sahi kah rahe ho"
"shayad nahi,cent percent main sahi kah raha hu.Maine kya tumhe kabhi galat advise diya hai?"
"nahi,abhi tak to nahi,isiliye to tum mere legal advisor ho"
"Achcha wo mahan hasti hain kaun,jinhe apse shadi karne ka mann hua hai?"
"wo..."
"kahin Siddhant to nahi??"
"haan wahi.."
"Fir to tum uska haath thaam hi lo.aaj uske aane ki khabar sunati tumhari aawaz me maine khushi mahsoos ki hai to socho sis jab tum uske sath rahogi tab kitni khush rahogi? main tumhe hamesha happy dekhna chahta hoon,iss opportunity ko miss mat karna,pyar zindagi me sirf ek baar aata hai ,ho sakta hai tumhara Mr.Right yahi ho!"
"per main uss se pyar karti hi nahi,uske bare me kabhi waisa socha hi nahi"Aru boli to Aashu hans diya.
"Jaanti ho tumhari problem kya hai? tum kalpana ki duniya me rahna jyada pasand karti ho..sachchai kalpana se alag hoti hai sis aur usse tumhe sweekar karna hoga.Mills n Boons padh padhkar tumhara dimag kharab ho gaya hai.Waisa romance,waisa pyar,wo passion real life mein possible nahi hai.Aur fir aisa thode hi hai ki duniya me sabhi love marriage hi karte hain? Pata hai meri dadi kaha karti thi ki shadi uss se karni chahiye jo apse pyar kare,na ki uss se jisse apko pyar hai... Mana ki Siddhant ka pahle tumhari cousin se affair tha.Per ab to wah purani baat ho gayi hai.Agar aaj wo tumse shadi karna chahta hai to iska matlab yahi hai ki waj tumhare liye apne mann me anurag rakhta hai,Tumhari cousin to ab aane se rahi...waise ek baat aur kahoon? bura nahi manogi na?"
"kaho"
"Siddhant ke sath tumhari purani dosti hai,tum dono school time ke frens ho na?"
"haan"
"beech me tumhari cousin scene me aa gayi,Siddhant ka uske sath affair mujhe pyar cum infatuation jyada lagta hai...mujhe to lagta hai tum dono shuru se hi ek dusre ke pyar me the,bas uss pyar ko samajh nahi paye.Aj Siddhant samajh bhi gaya hai per tum admit karne se avoid kar rahi ho"
"what rubbish! main uss se pyar nahi karti"
"Achcha theek hai,nahi karti,per uss se shadi ke baad karogi,I m sure"
"toh main usse haan kar du?"
"sure,aur shadi kab kar rhi ho,mujhe zarur batana"
"court marriage hi hogi jab bhi ho"
"kyun? uski family ready nahi hai kya? waise parents ko court inform kar hi deti hai.."
"wah manage ho jayega"
"ok thik hai dhyan rakhna,registered hi karna,mandir me nahi"
"kyu?"
"for your safety..aur kya?"
Aashu se baat karne ke baad Aru ko achcha mahsoos hua.Uthkar din ke bache khaane ko fridge se nikal ke garm kiya aur khaane baith gayi.Itna bura bhi nahi bana tha,Khaate khaate apni zindagi ke safar ke baare me sochne lagi.
END OF PART-3

No comments:
Post a Comment